Main tumhara song lyrics | dil bechara

                               Main tumhara song lyrics

                                          
Main tumhara song lyrics | dil bechara
Tum na huye mere to kya
Tum na huye mere to kya
Main tumhara main tumhara
Main tumhara raha
Mere chanda main tumhara sitara raha

Rishta raha bas reth ka
Aye samandar main tumhara kinara raha
Main tumhara main tumhara
Tumhara raha

Tum na huye mere to kya
Tu hi pehli guzarish
Hasrat bhi tu akhiri
Maahi mere maseeh
Marzi bata kya teri

Main tumhara main tumhara
Main tumhara raha
Mere chanda main tumhara sitara raha

Main jaadon ke maheene ki tarah
Aur tum ho pashmeene ki tarah
Main deewaron ki tarah hoon
Tum jaise ho dareecha
Main bageecha jo tumne seencha

Tum na huye mere to kya
Tum na huye mere to kya
Main tumhara main tumhara
Main tumhara raha
Mere chanda main tumhara sitara raha

Rishta raha bas reth ka
Aye samandar main tumhara kinara raha
Main tumhara main tumhara
Tumhara raha




Post a Comment

0 Comments